Mohsin Zaidi
Koi kashti me tanha ja raha haiKisi ke saath dariya ja raha hai
Tamaashai bane rahiye tamaasha dekhte rahiyeYahi duniya hai to kab tak ye duniya dekhte rahiye
Dil aabaad kahaan reh paaye us ki yaad bhula dene seKamra veeraan ho jata hai ik tasveer hata dene se
Raste me mil gaya to shareek-e-safar na jaanJo chhanv meharbaan ho use apna ghar na jaan
Ye ilm ka sauda ye risaale ye kitaabeinIk shakhs ki yaadon ko bhulaane ke liye hain
Sair kar duniya ki gaafil zindagaani fir kahaanZindagi gar kuch rahi to ye jawaani fir kahaan