Bashir Badr
Bheegi hui aankhon ka ye manzar na milegaGhar chhod ke mat jao kahin ghar na milega
Main wo dariya hoon ke har boond bhanwar hai jiski Tumne acha hi kiya mujhse kinaara karke
Main roz idhar se guzarta hoon, kaun dekhta haiMain jab idhar se na guzrunga, kaun dekhega
Hui muddat ki unko khwaab mein bhi ab nahin dekha Main jin galiyon mein apne doston ke saath khela tha
Ek khabar thi jise saahir na kiya humne kabhi Ek khazaana tha jise zar-e-zamin rehne diya
Jaankaari khel lafzon ka zabaan ka shor hai Jo bahut kam jaanta hai wo yahaan shah-zor hai
Jo padha hai use jeena hi nahin hai mumkin Zindagi ko main kitaabon se alag rakhta hoon