Lagta to bekhabar-sa hoon lekin khabar mein hoonTeri nazar mein hoon to main sabki nazar mein hoon
Har subah apne ghar mein usi waqt jaagna Aazaad log bhi to giraftaar se rahe
Jinka pesha ho masaayil ki tijaarat karna Kab wo chaahenge koi masla hal ho jaaye
Bheegi hui aankhon ka ye manzar na milegaGhar chhod ke mat jao kahin ghar na milega
Kaun rota hai kisi aur ki khaatir ae dost Sabko apni hi kisi baat pe rona aaya
Main wo dariya hoon ke har boond bhanwar hai jiski Tumne acha hi kiya mujhse kinaara karke
Main roz idhar se guzarta hoon, kaun dekhta haiMain jab idhar se na guzrunga, kaun dekhega
Basti mein apni Hindu-Musalmaan jo bas gaye Insaan ki shakl dekhne ko hum taras gaye
Hui muddat ki unko khwaab mein bhi ab nahin dekha Main jin galiyon mein apne doston ke saath khela tha