Usulon par jahaan aanch aaye takraana zaruri haiJo zinda ho to fir zinda nazar aana zaruri hai
Hazaaron baar hazaaron ki samt dekhte hainTaras gaye tujhe ek baar dekhne ke liye
Chaman mein rakhte hain kaante bhi ik makaam ae dostFakat gulon se hi gulshan ki aabroo to nahin
Utho ye manzar-e-shab-taab dekhne ke liyeKi neend shart nahin khwaab dekhne ke liye
Dil bhi pagal hai ki us shakhs se waabasta haiJo kisi aur ka hone de na apna rakkhe
Be-naam sa ye dard thahar kyun nahin jaataJo beet gaya hai wo guzar kyun nahin jaata
Ye sard raat ye aawaargi ye neend ka bojhHum apne sheher mein hote to ghar gaye hote