Usulon par jahaan aanch aaye takraana zaruri haiJo zinda ho to fir zinda nazar aana zaruri hai
Zara sa katra kahi aaj agar ubharta hai Samundaron hi ke lehje mein baat karta hai
Lagta to bekhabar-sa hoon lekin khabar mein hoonTeri nazar mein hoon to main sabki nazar mein hoon
Kaunsi baat kab kahaan kahi jaati haiYe saleeka ho to har baat suni jaati hai
Kis kaam ki rahi ye dikhawe ki zindagiVaade kiye kisi se guzaari kisi ke saath
Bichhadte waqt kisi ki aankh mein jo aata haiTamaam umr wo aansu bahut rulaata hai