Hui muddat ki unko khwaab mein bhi ab nahin dekha Main jin galiyon mein apne doston ke saath khela tha
Ek khabar thi jise saahir na kiya humne kabhi Ek khazaana tha jise zar-e-zamin rehne diya
Naksha utha ke koi nayaa shahar dhundiyeIs shahar mein to sabse mulakaat ho gayi
Leher ke saamne saahil ki haqiqat kya hai Jinko jeena hai wo haalaat se darte kab hain
Jaankaari khel lafzon ka zabaan ka shor hai Jo bahut kam jaanta hai wo yahaan shah-zor hai
Jo padha hai use jeena hi nahin hai mumkin Zindagi ko main kitaabon se alag rakhta hoon
Kaunsi baat kab kahaan kahi jaati haiYe saleeka ho to har baat suni jaati hai
Zindagi jeene ka pehle hausla paida karoSirf unche khoobsurat khwaab mat dekha karo
Dahleez apni chhod di jis ne bhi ek baarDeewaar-o-dar hi us ko mile ghar nahin mila
Main aaj zad pe agar hoon, to khush gumaan na hoCharaag sab ke bujhenge, hawaa kisi ki nahin
Dhoop mein niklo ghataaon mein naha kar dekhoZindagi kya hai kitaabon ko hata kar dekho