Shayari

Mohsin Zaidi

Koi kashti me tanha ja raha haiKisi ke saath dariya ja raha hai

2 months ago

Iqbal Ashhar

Tamaashai bane rahiye tamaasha dekhte rahiyeYahi duniya hai to kab tak ye duniya dekhte rahiye

8 months ago

Muneer Niyazi

Waqt kis tezi se guzra roz-marra me 'Muneer'Aaj kal hota gaya aur din hawa hote gaye

9 months ago

Jaun Elia

Apne sab yaar kaam kar rahe hainAur hum hain ke naam kar rahe hain

10 months ago

Nida Fazli

Ek mehfil me kayi mehfilein hoti hain shareekJis ko bhi paas se dekhoge akela hoga

11 months ago

Ghalib

Rahiye ab aisi jagah chal kar jahaan koi na hoHam-sukhan koi na ho aur ham-zabaan koi na ho

1 year ago

Jaleel ‘Aali’

Dil aabaad kahaan reh paaye us ki yaad bhula dene seKamra veeraan ho jata hai ik tasveer hata dene se

3 years ago

Parveen Shakir

Raste me mil gaya to shareek-e-safar na jaanJo chhanv meharbaan ho use apna ghar na jaan

3 years ago

Jaan Nisar Akhtar

Ye ilm ka sauda ye risaale ye kitaabeinIk shakhs ki yaadon ko bhulaane ke liye hain

3 years ago

Khwaja Meer Dard

Sair kar duniya ki gaafil zindagaani fir kahaanZindagi gar kuch rahi to ye jawaani fir kahaan

4 years ago

Meraj Faizabadi

Wo shakhs soorma hai magar baap bhi to haiRoti khareed laya hai talwaar bechkar

4 years ago

Bashir Badr

Na ji bhar ke dekha na kuch baat kiBadi aarzu thi mulaqaat ki

5 years ago