Shayari

Rahat Indori

Dost hi dost hain jis samt nazar uthti haiAise mahaul mein jeena bhi hunar lagta hai

7 years ago

Maqbool Naksh

Zindagi khwaab dekhti hai magarZindagi zindagi hai khwaab nahin

7 years ago

Jaun Elia

Nahin duniya ko jab parwaa hamaariTo phir duniya ki parwaa kyun karein hum

7 years ago

Habeeb Amrohvi

Behtar dinon ki aas lagaate hue 'Habeeb'Hum behtareen din bhi ganwaate chale gaye

7 years ago

Ambar Bahraichi

Kachcha ghar aata hai yaad bahut 'Ambar'Kehne ko shehron mein har aasaani hai

7 years ago

Nida Fazli

Bachchon ke chote haathon ko chaand sitaare chhoone doChaar kitaabein padh kar, ye bhi hum jaise ho jaayenge

7 years ago

Habib Jaalib

Haalaat wahi hain faqeeron keDin phire hain faqat wazeeron ke

7 years ago

Ghalib

Hum wahaan hain jahaan se hum ko bhiKuch hamaari khabar nahin aati

7 years ago

Darvesh

Ye daur-e-ishtihaar hai gar kuch na kar sakoKhud apne munh se tum miyaan-mitthu bana karo

7 years ago

Bashir Badr

Yahaan libaas ki qeemat hai aadmi ki nahinMujhe gilaas bade de sharaab kam kar de

7 years ago