Shayari

Waseem Barelvi

Kaunsi baat kab kahaan kahi jaati haiYe saleeka ho to har baat suni jaati hai

7 years ago

Manzar Bhopali

Zindagi jeene ka pehle hausla paida karoSirf unche khoobsurat khwaab mat dekha karo

7 years ago

Hastimal Hasti

Dahleez apni chhod di jis ne bhi ek baarDeewaar-o-dar hi us ko mile ghar nahin mila

7 years ago

Ahmad Faraz

Main aaj zad pe agar hoon, to khush gumaan na hoCharaag sab ke bujhenge, hawaa kisi ki nahin

7 years ago

Nida Fazli

Dhoop mein niklo ghataaon mein naha kar dekhoZindagi kya hai kitaabon ko hata kar dekho

7 years ago

Makhmoor Saeedi

Kuch yun lagta hai tere saath hi guzra wo bhiHum ne jo waqt tere saath guzara hi nahi

7 years ago

Ibrahim Zauq

In dino garche daccan mein hai badi kadr-e-sukhanKaun jaaye 'Zauq' par Dilli ki galiyaan chhodkar

7 years ago

Firaaq Gorakhpuri

Raat bhi neend bhi kahaani bhiHaay kya cheez hai jawaani bhi

7 years ago

Hafeez Banaarsi

Jo pardon mein khud ko chhupaaye hue hainQayaamat wahi to uthaaye hue hain

7 years ago

Urmilesh

Kitne din zinda rahe iski na ginti keejeKis tarah zinda rahe iski shumaari rakhiye

7 years ago