Girja mein mandiron mein azaanon mein bant gaya Hote hi subah aadmi khaano mein bant gaya
Shohrat ki bulandi bhi pal bhar ka tamaasha hai Jis daal pe baithe ho wo toot bhi sakti hai
Zara sa katra kahi aaj agar ubharta hai Samundaron hi ke lehje mein baat karta hai
Silsiley tod gaya wo sabhi jaate-jaateWarna itne to maraasim the ke aate-jaate
Bikhar bikhar si gayi hai kitaab saanso ki Ye kaagzaat khuda jaane kab kahaan ud jaayein
Waise to ek aansu bahaakar mujhe le jaaye Aise koi tufaan hila bhi nahin sakta
Le saans bhi aahista ki naazuk hai bahut kaam Aafaaq ki is kaargaah-e-sheeshaagari ka
Gairon se kaha tumne gairon se suna tumneKuch humse kaha hota kuch humse suna hota
Kashtiyaan sab ki kinaare pe pahunch jaati hainNakhuda jinka nahin unka khuda hota hai