Raste me mil gaya to shareek-e-safar na jaanJo chhanv meharbaan ho use apna ghar na jaan
Ye ilm ka sauda ye risaale ye kitaabeinIk shakhs ki yaadon ko bhulaane ke liye hain
Sair kar duniya ki gaafil zindagaani fir kahaanZindagi gar kuch rahi to ye jawaani fir kahaan
Wo shakhs soorma hai magar baap bhi to haiRoti khareed laya hai talwaar bechkar
Bade logon se milne mein hamesha faasla rakhnaJahaan dariya samunder se mila dariya nahin rehta
Aap ko mere taaruf ki zarurat kya haiMain wahi hoon ki jise aap ne chaha tha kabhi
Naseehatein na karo ishq karne walon koYe aag aur bhadak jayegi bujhaane se
Galat the vaade magar main yakin rakhta thaWo shakhs lahja bahut dilnashin rakhta tha
Haan unhi logon se duniya mein shikayat hai hameinHaan wahi log jo aksar hamein yaad aaye hain