Shayari

Habib Jaalib

Haalaat wahi hain faqeeron keDin phire hain faqat wazeeron ke

7 years ago

Ghalib

Hum wahaan hain jahaan se hum ko bhiKuch hamaari khabar nahin aati

7 years ago

Darvesh

Ye daur-e-ishtihaar hai gar kuch na kar sakoKhud apne munh se tum miyaan-mitthu bana karo

7 years ago

Bashir Badr

Yahaan libaas ki qeemat hai aadmi ki nahinMujhe gilaas bade de sharaab kam kar de

7 years ago

Ghalib

Bak raha hoon junun mein kya kya kuchKuch na samjhe khuda kare koi

7 years ago

Hari Chand Akhtar

Rahe do-do farishtey saath ab insaaf kya hogaKisi ne kuch likha hoga kisi ne kuch likha hoga

7 years ago

Iqbal Kausar

Jis tarah log khasaare mein bahut sochte hainAaj kal hum, tere baare mein bahut sochte hain

7 years ago

Javed Akhtar

Bulandi par unhein mitti ki khushbu tak nahin aatiYe wo shaakhein hain jin ko ab shajar achcha nahin lagta

7 years ago

Nida Fazli

Bade bade gham khade hue the rasta roke raahon meinChoti choti khushiyon se hi hum ne dil ko shaad kiya

7 years ago

Waseem Barelvi

Kis kaam ki rahi ye dikhawe ki zindagiVaade kiye kisi se guzaari kisi ke saath

7 years ago