Waseem Barelvi

7 years ago

Kis kaam ki rahi ye dikhawe ki zindagiVaade kiye kisi se guzaari kisi ke saath

Rahat Indori

7 years ago

Kaam sab gair zaruri hain jo sab karte hainAur hum kuch nahin karte hain gazab karte hain

Nida Fazli

7 years ago

Ab khushi hai na koi dard rulaane walaHumne apna liya har rang zamaane wala

Meer Taqi Meer

7 years ago

Hum khuda ke kabhi qaayil hi na theUnko dekha to khuda yaad aaya

Krishna Bihari Noor

7 years ago

Apne dil ki kisi hasrat ka pata dete hainMere baare mein jo afwah uda dete hain

Bashir Badr

7 years ago

Isi liye to yahaan ab bhi ajnabi hoon mainTamaam log farishtey hain aadmi hoon main

Wamiq Jaunpuri

7 years ago

Khud apne sar ye balaa kaun mol leta haiMohabbat aap se hoti hai ki nahin jaati

Zafar Gorakhpuri

7 years ago

Kitni aasaani se mashhoor kiya hai khudkoMaine apne se bade shakhs ko gaali dekar

Waseem Barelvi

7 years ago

Bichhadte waqt kisi ki aankh mein jo aata haiTamaam umr wo aansu bahut rulaata hai

Ahmad Faraz

7 years ago

Suna hai din ko use titliyaan sataati hainSuna hai raat ko jugnu thahar ke dekhte hain