Jo padha hai use jeena hi nahin hai mumkin Zindagi ko main kitaabon se alag rakhta hoon
Kaunsi baat kab kahaan kahi jaati haiYe saleeka ho to har baat suni jaati hai
Zindagi jeene ka pehle hausla paida karoSirf unche khoobsurat khwaab mat dekha karo
Dahleez apni chhod di jis ne bhi ek baarDeewaar-o-dar hi us ko mile ghar nahin mila
Main aaj zad pe agar hoon, to khush gumaan na hoCharaag sab ke bujhenge, hawaa kisi ki nahin
Dhoop mein niklo ghataaon mein naha kar dekhoZindagi kya hai kitaabon ko hata kar dekho
Kuch yun lagta hai tere saath hi guzra wo bhiHum ne jo waqt tere saath guzara hi nahi
In dino garche daccan mein hai badi kadr-e-sukhanKaun jaaye 'Zauq' par Dilli ki galiyaan chhodkar
Jo pardon mein khud ko chhupaaye hue hainQayaamat wahi to uthaaye hue hain