Kaun rota hai kisi aur ki khaatir ae dost Sabko apni hi kisi baat pe rona aaya
Main wo dariya hoon ke har boond bhanwar hai jiski Tumne acha hi kiya mujhse kinaara karke
Main roz idhar se guzarta hoon, kaun dekhta haiMain jab idhar se na guzrunga, kaun dekhega
Basti mein apni Hindu-Musalmaan jo bas gaye Insaan ki shakl dekhne ko hum taras gaye
Hui muddat ki unko khwaab mein bhi ab nahin dekha Main jin galiyon mein apne doston ke saath khela tha
Ek khabar thi jise saahir na kiya humne kabhi Ek khazaana tha jise zar-e-zamin rehne diya
Naksha utha ke koi nayaa shahar dhundiyeIs shahar mein to sabse mulakaat ho gayi
Leher ke saamne saahil ki haqiqat kya haiJinko jeena hai wo haalaat se darte kab hain
Jaankaari khel lafzon ka zabaan ka shor hai Jo bahut kam jaanta hai wo yahaan shah-zor hai