Bikhar bikhar si gayi hai kitaab saanso kiYe kaagzaat khuda jaane kab kahaan ud jaayein
Waise to ek aansu bahaakar mujhe le jaaye Aise koi tufaan hila bhi nahin sakta
Le saans bhi aahista ki naazuk hai bahut kaam Aafaaq ki is kaargaah-e-sheeshaagari ka
Gairon se kaha tumne gairon se suna tumneKuch humse kaha hota kuch humse suna hota
Kashtiyaan sab ki kinaare pe pahunch jaati hainNakhuda jinka nahin unka khuda hota hai
Lagta to bekhabar-sa hoon lekin khabar mein hoonTeri nazar mein hoon to main sabki nazar mein hoon
Har subah apne ghar mein usi waqt jaagna Aazaad log bhi to giraftaar se rahe
Jinka pesha ho masaayil ki tijaarat karna Kab wo chaahenge koi masla hal ho jaaye
Bheegi hui aankhon ka ye manzar na milegaGhar chhod ke mat jao kahin ghar na milega