Yagaana Changezi

7 years ago

Shiddat-e-Lucknow, arey taubaPhir wahi hum, wahi Ameenabad

Shehzad Ahmed

7 years ago

Hazaar chehre hain maujood aadmi gaayab Ye kis kharaabe mein duniya ne la ke chhod diya

Asad Badaayuni

7 years ago

Dekhne ke liye saara aalam bhi kamChaahne ke liye ek chehra bahut

Shehzad Ahmed

7 years ago

Ek lamhe mein kata hai muddaton ka faasla Main abhi aaya hoon tasveerein puraani dekh kar

Rahat Indori

7 years ago

Mujhe to maar hi daalega khaalipan meraJo dil se teri judaai ka gam nikal jaaye

Nida Fazli

7 years ago

Girja mein mandiron mein azaanon mein bant gaya Hote hi subah aadmi khaano mein bant gaya

Bashir Badr

7 years ago

Shohrat ki bulandi bhi pal bhar ka tamaasha hai Jis daal pe baithe ho wo toot bhi sakti hai

Ghalib

7 years ago

Puchte hain wo ki 'Ghalib' kaun hai Koi batlaao ki hum batlaayein kya

Waseem Barelvi

7 years ago

Zara sa katra kahi aaj agar ubharta hai Samundaron hi ke lehje mein baat karta hai

Ahmad Faraz

7 years ago

Silsiley tod gaya wo sabhi jaate-jaateWarna itne to maraasim the ke aate-jaate