Shakeel Azmi
Khudko itna bhi mat bachaaya kar Baarishein hon to bheeg jaya kar
ShoaibQureshi.in | Soya Says Blog
Ab main samjha tere rukhsaar pe til ka matlab Daulat-e-husn pe darbaan bitha rakkha hai
Apne dil ki kisi hasrat ka pata dete hain Mere baare mein jo afwah uda dete hain
Hazaar chehre hain maujood aadmi gaayab Ye kis kharaabe mein duniya ne la ke chhod diya
Ek lamhe mein kata hai muddaton ka faasla Main abhi aaya hoon tasveerein puraani dekh kar